Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
Har cheez miley humain yeh zaroori to nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai
Jo khud ko khostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai
Har aik ko barsar-e-ilzam kyun thehraye Hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai
Gar doobta hai sooraj to kal bhi ujala hota hai
0 comments:
Post a Comment